Sunday, October 19, 2008

Nauha by Allama Qais Zangipuri


Kufiyo ne ghar se bulaya tumhe
Roza-e-ahmed se chudaya tumhe
Ranj diye khoon rulaya tumhe
Pyaas mein pani naa pilaya tumhe

Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb

Ishq ka jo haq tha ada kardiya
Sar rahe khaliq mein fida kardiya
Wada-e- thiflee ko wafa kar diya
Ummath-e-aasi ka bhala kardiya

Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb

Fathima thi laash pe noha kuna
Tumko ajal kheench ke layee kahaan
Pyaase hi duniya se gaye meri jaan
Khaak pe mayyath hai thasadduq huma

Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb

Jab koi pardes mein marne laga
Dekh ne walo ko tharas aagaya
Pakey ishaara usey paani diya
Marne pe samaan kiya dafn ka

Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb

Pohonche jo darbaar mein aal-e-nabi
Dekh ke hastha tha yazeed-e- shaqi
Hind pe jis dam ye haqeeqath khuli
Peet-thi sar aayi ye kehthi huwee

Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb

Zafar-e jin ko huwa maaloom jab Qatl huwe sibth-e- rasool-e-arab Roke pukaare ye huwa kya ghazab Neher pe maarey gaye tum thashna lab Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb

No comments: